हैरान कर गई
बोझ की आदत हुई ही थी
कि गमों का एक थैला और थमा गई
जिंदगी फिर मुझको
हैरान कर गई
अपने ख्वाबगाह के बंद कर दरवाजे सारे
सोचा बना लूंगा आशियाना अपना
एक दरार से जाने कैसे
एक आंधी अंदर आ गई
जिंदगी फिर मुझे हैरान कर गई
बड़ी मशक्कत से ढूंढा था
रास्ता मंजिल का
अभी दो कदम कदम बढ़ाए ही थे
कि पैरों तले से जमीन ले गई
जिंदगी फिर मुझको हैरान कर गई
चला जा रहा था कि
राह में अचानक जिंदगी ही मिल गई
गुमसुम देख उसे
पूछ लिया मैंने
लूट कर सब कुछ मेरा
तू क्यों उदास नजर आ रही है
तो बोली
देख गौर से जरा आंखें
यह मेरी तस्वीर तेरी ही दिखा रही हैं
तो क्या खुश हो तुम
बोलो…. अब बताओ मुझे
ऐसे क्यों सता रही हो
पैगाम यही देने आई हूं
वह गमों का थैला, वह आंधी,
ओके सतना पैरों तले से जमीन का
सब कुछ तेरे लिए ही था
सब समझ जाए तो
यह भी नहीं है जरूरी
इतिहास बन रहा है अभी
किताब ही नहीं है पूरी
तो उलझन छोड़ कि
क्या गम है और क्या है खुशी
कि पहलू दो होते हैं हर शेह के
बातें घंटों करनी थी अभी तो
पर ख्वाब था वह
जहां मिलने आई थी जिंदगी
चकमा देकर एक बार फिर
जीवन का फलसफा दे गई
मुझको समझा कर
जिंदगी एक बार फिर मुझे हैरान कर गई
जिंदगी एक बार फिर मुझे हैरान कर गई
Hairaan kar gayi
Bojh ki aadat hui hi thi
Ki gamo ka ek thaila
Aur thama gayi
Zindagi phir mujhe hairaan kar gayi
Apni khwaabgaah ke
Band kar darwaze saare
Socha bana loonga aashiyaana apna
Ek daraar se jaane kaise
Ek aandhi andar aa gayi
Zindagi phir mujhe hairaan kar gayi
Badi mashaqat kar dhoondha tha raasta manzil ka
Abhi do kadam badhaye hi the
Ki pairon tale ki zameen le gayi
Zindagi phir mujhe hairaan kar gayi
Hairaan sa chala jaa raha tha
Ki rah mein achanak zindagi hi mil gayi
Gumsum dekh usse
Pooch liya maine
Loot kar sab kuch mera
Tu kyu udaas nazar aa rahi hai
Toh boli… dekh gaur se zara
Aankhen ye meri
Tasveer teri hi dikha rahi hain
Toh kya khush ho tum
Bolo…ab batao mujhe
Aise kyu sata rahi ho
Paigaam yehi dene aayi hoon
Woh gamo ka thaila, woh aandhi
Woh khisakna pairon tale se zameen ka
Sabkuch tere liye hi tha
Sab samajh jaaye tu
Ye bhi nahi hai zaroori
Itihaas ban raha hai abhi
Kitaab hui nahi hai poori
Toh uljhan chodh ki
Kya gam hai aur kya hai khushi
Ki pehloo do hote hain har sheh ke
Baaten ghanton karni thi abhi toh
Par khwaab tha woh
Jahan milne aayi thi zindagi
Chakma dekar ek baar phir
Jeevan ka falsafa de gayi
Mujhe samjha kar
Zindagi ek baar phir mujhe hairaan kar gayi
Zindagi phir mujhe hairaan kar gayi
Leave a Reply